top of page

ZINDA HAI SIO

Zinda hai SIO Zinda hai

Koi lakh me paaband kare

Islam ki da’wat zinda hai

Zinda hai SIO Zinda hai {2}

Har kaam me apni raaho me

Maqtal hai kayeen zanjeeren hai

Ham da’waat e haq se baaz rahe

 Taagoon te ye tadbeeren hai

Batil se murawwar na mumkin

Azlee’a ada’waat zinda hai

Zinda hai SIO Zinda hai {2}

Jab degree hasil karke be

Millat ka jawan bekaar phire

Galiyon me jarayam badte hai

Jab koi na karobaar mile

Taleem bachavo choroon se

Gar khoon me khairat zinda hai

Zinda hai SIO Zinda hai {2}

Ye zour o jafaa ka dour sahi

Har tarf qaaza ka shour sahi

Batil ka bazahir zoor sahi

Ham log bade kamzoor sahi

Islam pe mar mitne ke liye

Jazbaye sahadath zinda hai

Zinda hai SIO Zinda hai {2}

Tasleem hame inkaar nahi

Ye ishq guloon ka haar nahi

In raahon me gulzaar nahi

Par sood o ziya takraar nahi

Ham lailai deen ke majnoon hai

Larai’b haqeeqat zinda hai

Zinda hai SIO Zinda hai {2}

Jo toofanon se ladjaye

Vo deevane jeedar hai ham

Jo fateh taqte daar raha

Uss sayed ka kirdaar hai ham

Hai ajj be teegon ke saaye

Quraa’n ki tilawat zinda hai

Zinda hai SIO Zinda hai {2}

Mazloomon ke gam qaar bane

Zalim ke liye talwaar bane

Bekas ke liye gulzaar bane

Ulfat ka ham minaar bane

Ham isq ke maaron me yaaron

Iqlaas o mohobat zinda hai

Zinda hai SIO Zinda hai {2}

Iqbaale e qirad kya samjhe gi

Kya zouq hai uqba beeni ka

Kargas ki balaa se ye baaten

Kya lutf hai iss shaheene ka

Ilhaad ki iss taareqi me

Sad shukr e baseerat zinda hai

Zinda hai SIO Zinda hai {2}

Zinda hai SIO Zinda hai

Koi lakh me paaband kare

Islam ki da’wat zinda hai

Zinda hai SIO Zinda hai {2}

Madad   kar  Meri  do  Jahano  ke  Malik 

Madad   kar  Meri  do  Jahano  ke  Malik 

Musibat  me Maine  Pukara   hai  Tujhko    Madad   kar  meri “1”

Gunahe  ki  Daldal   me  Mein  Phasgaya  hu

Nikalne ke  Raahe  hui  Band  Saari

Wo  Nayya  Meri   Dubti  jaa  rahi  hai 

Bachale   use Tu Khuda   Wand  Baari 

Kisise   koi  Waasta   hi  nahi  hai

Tera  jabse Khaaliq  Sahara hai  Mujko

Madad   kar  Meri  do  Jahano  ke  Malik 

Musibat  me Maine  Pukara   hai  Tujhko   

Tera Naam Hay aur Qayyum

Tujhe Neend aati nahi Ek pal bhi

Tuhi Thaamata hai Zameen Aasmaan ko

Hawaayen bhi hai hukm se Tera chalti

Mujhe Thaamlo aur Bachale Mujhe Tu

Bohut Dur lagta Kinara hai Mujhko

Madad   kar  Meri  do  Jahano  ke  Malik 

Musibat  me Maine  Pukara   hai  Tujhko   

Tu Raaziq hai Sabka jahano ke Malik

Zameen Aasman me Teri Badshahi

Tuhi Bakshsta hai dino ko Ujala

Ke Raato ko Deta hai Tuhi Siyahi

Khushada Mera Rizq Karde Ae Malik

Ye kehene ko Dil ne Ubhara hai Mujhko

Madad   kar  Meri  do  Jahano  ke  Malik 

Musibat  me Maine  Pukara   hai  Tujhko 

Teri Bandagi to Meri Zindagi hai

Meri Zindagi ka to Haasil yehi hai

Mein Sajde pe Sajda kiye jaa raha hu

Ye Gardan Meri Tere Dar par Jhuki hai

Qalam pher de Khud Meri har Khata par

Mein Mith jao Kaise Gawara hai Mujhko

Madad kar Meri do Jahano ko Malik

Musibat  me Maine  Pukara   hai  Tujhko 

Tera Naam Sattar , Ghaffar bhi hai

Ye Banda to Ajiz Gunahgaar bhi hai

Ilahi Mera Sar hai Sajde me rakha

Zubaan par Meri aaj ikrar bhi hai

Zamaane se Muh mod kar aagaya hu

Faqt Ek Tera Sahara hai Mujhko

Madad kar Meri do Jahano ko Malik

Musibat  me Maine  Pukara   hai  Tujhko 

Mere Haath Uthte nahi hai Du’a ko

Kabhi Gair ka Dar pe jaakar Khuda yai

Tu Haajat Rawa hai Tu Mushkil Khusha hai

Isi Baat par to Mein Imaan laya

Har Ek Shai hai Kabzaye Qudrat me Tere

Ye Imaan Jaan se bhi Pyara hai Mujhko

Madad kar Meri do Jahano ko Malik

Musibat  me Maine  Pukara   hai  Tujhko 

Aye khaliq e khul 

Aye khaliq e khul aye malik e khul

Aye aalime khul  aye khadir e khul

Rehman hai tu subhan hai tu

Koi teri sifate pana saka

Har shai pe tasar uff hai tera

Jab hukm kiya tab mi barsa

Aye malik abr se tere siva

Ek boond bhi koyi girana saka

Jatir vo nayi hai jis se kabhi

Ban sakti nahi ek makkhi bhi

Makkhi to banana door raha

Ek baal bh badla jaa na saka

Makhlooq hai vo majboor hai vo

Mahqoom hhai vo mukhtar nahi

Jo zouf o zabr se sukm o ajal

Se apni jaan bacha na saka

Tu jis ko daboun ne par aaye

Phir kis me hai qudrat paar kare

Majboor raha mahboob tera

Kasti me phisar ko bitha na saka

Har dil pe tasar uff hai tera

Eeman hai teri ek ata

Jis dil par teri mohr lagi

Use kalmia koi padana saka

Zinde hai vasi lazim do ka

Zinde hi taaum karte hai

Koi murda nikalke turbat se

Duniya ke kaam banana saka

Murdoun ko utha te hai zinde

Ja kar dafnate hai zinde

Jab rooh qadam ko chood gayi

Koi chalk e lahb ku jaana saka

Khamoosh  ko rakh apna hi ghada

Kar sabr o tavakul is ko ata

Is dar pe siva duniya ko nabi

Dar aur kisi ka bata na saka

Aye khaliq e khul  aye malik e khul

Aye aalime khul  aye khadir e khul

Rehman hai tu subhan hai tu

Koi teri sifate pana saka

More Coming Soon.....

Subscribe Form

9866556876

©2019 by Abdullah Jawed. Proudly created with Wix.com

Hifz competion, Deeniyath

Books  Source :

bottom of page